Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen

Dukh Kehta Hai Ab Koi Sehra Bi Tu Dekhon

Ye Kya Ke Wo Jab Chahe Muje Chen Le Muj Se

Apne Liye Wo Shakhs Trapta Bi Tu Dekhon

 Wo Tu Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jaye Ga

Masla Phol Ka Hai Phol Kidhr Jaye Ga

 Guzar Gye Hain Bohat Din Rafaqat-e Shab Mein
Ik Umar Ho Gyi Chehra Wo Chand Sa Dekhe
Tere Siwa Bi Kyi Rang Khush Nazar They Mgar
Jo Tuj Ko Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe

Badan Ke Karb Ko Wo Bi Samaj Na Paye Ga

Mai Dil Se Ro’on Gi Aankhon Se Muskraon Gi

Toti Hai Meri Neend Magr Tum Ko Is Se Kya
Bujte Rahe Hwaon Se Dar Mgar Tum Ko Is Se Kya
Tum Moj Moj Masle Saba Ghomte Raho
Kat Jayen Meri Soch Ke Par, Tum Ko Is Se Kya
Tum Ne Tu Thak K Dasht Mai Kheme Lga Liye
Tanha Kate Kisi Ka Safr, Tum Ko Is Se Kya

Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha


Tera Pehlu Tere Dil K Tarah Abad Rahe

Tuj Pe Guzre Na Qayamt Shab-e Tanhai Ki


 Shayad Tu Kabi Pyasa Meri Tarf Lot Aye Faraz

Aankhon Mein Liye Phirta Hon Darya Teri Khatir


 Awaz De Ke Chup Gayi Har Bar Zindagi

Ham Aese Sada Dil They Ke Har Baar Aa Gaye



Dolat-e Dard Do Dunya Se Chupa Kar Rakhna

Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna

Dil To Wo Barg-e Khazan Hai K Hawa Le Jaye
Gham Wo Aandhi Hai Ke Sehra Bi Ura Le Jaye
Kon Laya Teri Mehfil Mein Hamain Hosh Nahi
Koi Aye Teri Mehfil Se Utha Le Jaye
Read the rest of this entry 



Mai Ne Chaha Tuje Eid Pe Kuch Pesh Karon

Jis Mai Ihsas K Sab Rang Hon Roshan Roshan

Jis Mai Aankhon Ke Tarashe Hoye Moti Lakhon

Jis Mai Shamil Ho Mere Qalab Ki Dharkan Dharkan



Eid Ayi Hai Musarat K Pyami Ban Kar

Wo Musarat Jo Teri Deed Se Wabasta Hai



Post a Comment